Monday, January 12, 2009

Kahaan-Kahaan

Jaanay kahan-kahan gaya hoon main,
Thoda yahan, thoda wahan reh gaya hoon main

Kabhi leta thak kar kinaron pe,
Anjaan lehron mein kabhi beh gaya hoon main

Kabhi Ladtay hue Sainik ki tarah,
Kitne zakhmon ko chupchaap seh gaya hoon main

Seekha nahin duniya ka hisaab,
Kitne galat jawaab keh gaya hoon main

No comments: