Saturday, September 25, 2010

Ghabraayi Jaan

In haathon ki binaries ke harzaanay hazaaron hain,
In codoN se vaabastaa afsaanay hazaaron hain

[Binaries: 1 or 0; Harzaanay: Fine/Penalty; CodoN : Code/Program; Vaabastaa: Related; Afsaanay: Stories/Epics]

Ik tumhii nahi tanhaa, processes se meri ruswaa,
Is domain mein tum jaise, deewaanay hazaaron hain

[Tanhaa: Alone; Ruswaa: Humiliated]

Ik sirf humhi codoN ko bay-bug ke chalaatay hain,
Kehnay ko to duniya mein coders hazaaron hain

[Bay-bug: Without bugs]

Is code-e-firozaan ko QA se daraatay ho,
Is code-e-firozaan ke workarounds hazaaron hain

[Code-e-firozaan: Bright coding; QA: Quality Assurance]