Krishna naam ki baat chali to Krishna Mann yun shwet hua
Jaise pyaase, haaray Pathik ko panghat ka sanket hua.
[Krishna - Lord/Black] [Pathik - Traveller] [Panghat - Well]
Mann ki dasha kay kya kehnay, iski vyatha niraali hai,
Har misray mein tum aatay ho, ye kaisi qawalli hai
[Vyatha - Pain] [Misray - Stanza]
Jis Soch Mein Dooba Rehta Hoon, Wo Soch Nahin Milti,
Jisay Khoj Kay Laaya Khwaabon Se, Wo Roz Nahin Milti
1 comment:
[Jis Soch Mein Dooba Rehta Hoon, Wo Soch Nahin Milti,
Jisay Khoj Kay Laaya Khwaabon Se, Wo Roz Nahin Milti]
Rashi :
Kabhi kisi ko poora jahan nahin milta
Kabhi zameen nahin milti,
Kabhi aasmaan nahin milta.
Post a Comment